Toh Dishoom Shahid Mallya Lyrics

Toh Dishoom Lyrics Shahid Mallya

Recently Added Lyrics Shahid Mallya Toh Dishoom

Shahid Mallya comes through with a new song titled "Toh Dishoom" Our vibrant community of passionate editors is making sure lyrics is up to date with the latest.

See & Read Shahid Mallya Toh Dishoom Lyrics


Mujhe yaad hain woh baatein
Mere bachpan ki
Daddy kehte thhe khota sikka
Chalega nahin
Mummy pyaar se khilati
Daal chaawal aur dahi
Maa ke haathon ka woh jaadu
Five star mein nahin

Marr marr ke mili
College degree
Meri job ek tragedy,
Hai joke salary

Ek ladki mili thi
Woh bhi dump kar gayi
Dump hone ko baitha hoon
Koi miley toh sahi

Oh ho..
Banda seedha rab da main, yeah!
Ditto tere warga main, unh!
Kaam ghalat koi karda te
Phir na usko chhad’da main

Kisi ladki ko chhede koi
Toh dishoom
Kare cheating aur khele koi
Toh dishoom
Mere india ko bura kaha
Toh dishoom
Jana gana pe na khada hua
Toh dishoom

Toh dishoom, toh dishoom, toh dishoom

Bathroom mein Kishore da
Ke gaane gata hoon
Katy perry ki me photo
Sang leke nahata hoon
Mere aaju baju bikini me babes nachdi
But life koi honey singh ka video nahi

Din ko me chaahe jitna bhi
Hero hota hu
Raat ko takiye ki jhappi
Leke sota hu
Kabhi kabhi kisi party me

Toh yaad karke batein purani
Khoob rota hu

Banda seedha rab da main
Ditto tere warga main
Ek waari hath fad laan taan
Phir kadi nahi chhad’da main

Ram-rahim ladaaye koi
Toh dishoom
Chhote bacchon ko daraye koi
Toh dishoom
Nasha karke jo aaye koi
Toh dishoom
Mere bhai ko sataaye koi
Toh dishoom

Kabhi na karu main kaam koi aisa
Ke jis se jhuke meri gardan
Jeeta hoon cheeta hoon
Paapo se sikha hoon
Mujhpe hai kuch burden
Jaise hurdam
Ghar chalana hai jaise ya taise
Chhote sapno ke liye jodu
Paise kaise kaise…
Arey kaise kaise kaam kare
Taaki naam bane
Duniya dekh ke mujhko
Bhaijaan ram ram kare
Par dhyan rahe mujhko kabhi na chhedna
Dene me ik dishoom mujhko lagegi der na

Oh ho..
Banda seedha rab da main
Ditto tere warga main
Kaam ghalat koi karda te
Phir na usko chhad’da main

Khud apni badhaai kari
Toh dishoom
Ratta maar ke padhai kari
Toh dishoom
Rishwat leke kaam kiya
Toh dishoom
Raste pe traffic jam kiya
Toh dishoom

Public bhadkaaye koi
Toh dishoom
Meri bandi ko pataaye koi
Toh dishoom
Chaalu picture mein phone bajaa
Toh dishoom
Gaana sunke naa aaya mazaa
Toh dishoom

Toh dishoom, toh dishoom, toh dishoom…

Share this